meri justuju ka hasil mera shauq-e-walihana meri aarzu ki manzil na chaman na aashiyana koi dil jahan bana hai gham-e-ishq ka nishana wahin ras aa gai hai use gardish-e-zamana kabhi yaad aa gai hai to ghataen chha gai hain main kise bataun kya hai teri zulf-e-kafirana meri shairi mein pinhan mere dil ki dhadkanen hain meri har ghazal hai goya gham-e-ishq ka fasana ye nazar nazar tabahi ye qadam qadam musibat kahin past ho na jae mera azm-e-fatehana teri hamd kya karenge ye bayan ye lafz-o-mani tera husn bhi anokha teri zat bhi yagana ye farogh-e-gulsitan hai ki bahaar se ayan hai tere husn ki haqiqat mere ishq ka fasana meri har ghazal hai goya meri zindagi ka hasil ki har ek sher mein hai mera soz-e-ashiqana ye hai naz-e-shauq insan ki rasai hai falak tak mere dard-e-dil ko lekin na samajh saka zamana