meri kashti-e-mohabbat yunhi pa gai kinara kisi mauj ne duboya kisi mauj ne ubhaara bahut aasra laga kar bade pyar se pukara tumhin samne na aae tumhin kar gae kinara koi talkhi-e-mohabbat ko na kar saka gawara ye to sirf mera dil tha ki ye ban gaya tumhaara mere pyar se na khelo mera zakhm-e-dil na chhedo kahin jal na jae daman meri aah se tumhaara na malal ho kisi ko meri fath-mandiyon se meri chaal hi nai thi main yahi samajh ke haara na haram se koi raghbat na sanam-kade se nisbat ye hai aadmi ki duniya mujhe aadmi hai pyara mere kaam aai aakhir meri himmat-azmai jise kah rahe the tufan wahi ban gaya kinara ye hai nekiyon ka badla ki hai apni kam-nasibi wahi dushman-e-sukun hai jise de diya sahaara nae naqsh zindagi ke ubhar aae pattharon se teri chashm-e-fitnagar ne kiya jab kabhi ishaara