manzil ka mohabbat main kahin nam nahin hai aaghaz hi aaghaz hai anjam nahin hai sayyaad ye kyun-kar kahun aaram nahin hai jo kal thi tadap aaj tah-e-dam nahin hai nazzare se han aur bhi dil hota hai bechain be aap ke dekhe bhi to aaram nahin hai aaram sukun mein hai sukun maut mein yani jine mein to zahir hai ki aaram nahin hai hai sham to ab subh ka hona hai qayamat jab subh hui to khabar-e-sham nahin hai ye dard ye sozish ye tadap aur ye aahen kis munh se kahun ishq mein aaram nahin hai ho dil mein mohabbat to ho ehsas-e-mohabbat fitrat ka ye inam magar aam nahin hai zulfen rukh-e-pur-nur pe kahti hain bikhar ke is sham ke baad aur koi sham nahin hai 'raushan' ye mohabbat ki hai duniya hi nirali mit jaana yahan koi bada kaam nahin hai