meri kashti ko kinare pe lagate bhi nahin

meri kashti ko kinare pe lagate bhi nahin
apna kahte hai magar rishta nibhate bhi nahin

ek zamane se mujhe un se shikayat hai yahi
yaad karte bhi nahin mujh ko bhulate bhi nahin

zakhm phir tum ne kiye taza wagarna hum to
dard ta-umr tumhein apna batate bhi nahin

jaante hain ki tumhein farq na padna koi
apni palkon pe so hum ashk sajate bhi nahin

kuchh na badla hai na ummid badalne ki kuchh
jaante hain tabhi to shor machate bhi nahin

is zamane ki yahi ek haqiqat hai 'jyoti'
log rasman hi sahi dil se nibhate bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close