usi ne sath diya zindagi ki rahon mein

usi ne sath diya zindagi ki rahon mein
wo ek charagh jo jalta raha nigahon mein

shamim-e-gul se subuk-tar kiran se nazuk-tar
koi latif si shai aa gai hai bahon mein

ye kis ki hashr-khirami ki baat utthi hai
hamara nam pukara gaya gawahon mein

khabar na thi ki wahi apni yun khabar lenge
shumar karte the hum jin ko khair-khwahon mein

abhi hain rakh mein chingariyan dabi lekin
maza kahan hai wo pahla sa ab ki chahun mein

hamin ne zist ke har rup ko sanwara hai
luta ke raushani-e-taba jalwa-gahon mein

ragon mein jaise rawan hai lahu 'tamannai'
kisi ki mauj-e-karam hai mere gunahon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close