meri KHabar na lena ai yar hai tajjub

meri khabar na lena ai yar hai tajjub
ji se bache jo mujh sa bimar hai tajjub

wada-khilafiyon se teri hai dil mein shubha
howe jo hashr mein bhi didar hai tajjub

tum kahte ho ki wo aata hai pas tere
us yar se to yaro bisyar hai tajjub

hasti se ek nafas ka hai fasla adam tak
tis par bhi hai pahunchna dushwar hai tajjub

kafi na tha tumhaare abru ka ek ishaara
khinchi jo aashiqon par talwar hai tajjub

sau bar din-o-iman gum hoe to ajab kya
tute jo ahd-e-ulfat ek yar hai tajjub

kyunkar kategi yarab auqat gham-zadon ki
koi nahin jahan mein gham-khwar hai tajjub

naseh mera gareban sine ka fikr mat kar
sabut us mein pana ek tar hai tajjub

pamal dil kiye hain aalam ke har qadam mein
sikhi ye tum ne kis se raftar hai tajjub

gali hui hai ab to takiya-kalam tera
sidhi zaban kasu se guftar hai tajjub

islam mein ye kaisa inkar kufr se hai
tasbih mein piroe zunnar hai tajjub

diwana hai 'muhib' tu teri shikasta-haali
dekhe jo aankh utha kar dildar hai tajjub

har baat mein jo kahiye majbur hai qabahat
insan ko gar samjhiye mukhtar hai tajjub

kuchh gu-magu hai yaro ye amr bandagi ka
afkar hai achambha iqrar hai tajjub


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close