jin dinon hum us shab-e-haz ke siyah-karon mein the us ayagh-e-chashm ke paiwasta mai-khwaron mein the chaunk chaunk ab khincho ho daman hamari khak se wo bhi sapna ho gaya tum gul the hum kharon mein the khar-o-khas mahram hain pur-fan garche hum rahe jun hubab hum tere ai bahr-e-husn aakhir hawa-daron mein the khak bhi un ki hai shakl-e-sarw misl-e-gard-baad is qadar aazad ke jite giraftaron mein the khasm jo miqraaz-e-gulchin hain tere ai shama-qad jun patinge jal gae hum jo tere yaron mein the us aziz-e-khalq ki aankhon ke do baadam par bik gae wo sab jo yusuf ke kharidaron mein the ek patthar bhi na aaya sar pe 'uzlat' ab ki sal gae kidhar tiflan jo diwanon ke gham-khwaron mein the