meri khamosh mohabbat ki ye qimat di hai us ne thukra ke mujhe dard ki daulat di hai aap ko bhul sakun dil ko kahin bahlaun aap ki shab ne kab mujh ko ye mohlat di hai pas baithun tere aur tujh ko hi dekhe jaun meri aankhon ko kahan itni ijazat di hai dardmandi se mohabbat se milun main sab se mere ajdad ne wirse mein ye fitrat di hai kaam auron ke main aati rahun marte dam tak mere khaliq ne mujhe jitni bhi taqat di hai kitni dilkash hai hasin hai ye dhanak-rang faza mausam-e-gul ko musawwir ne kya rangat di hai meri zulfon ko sanware mera aanchal jhule ai hawa kis ne tujhe aaj ye jurat di hai kyon mere sath hi roya hai mera aaina nauhagar tu ne use kaun si surat di hai teri duniya mein hai majruh meri sada-dili kya isi waste ye sada tabiat di hai zakhm-e-dil bhar gae kuchh aur inayat kar den itni si baat hai sahab jo yun zahmat di hai mujh ko is dahr ke dozakh mein jalaya hai sada kahne ko qadmon ke niche mere jannat di hai us ne mujh ko faqat gham hi nahin bakhshe hain mere lahje ko junun soch ko wahshat di hai sab se milta hai to hans hans ke sitam dhata hai mere jazbon ko kahan tu ne ye qurbat di hai tujh ko allah bachae sada nazar-e-bad se tujh ko 'shahnaz' khuda ne hasin surat di hai