misal-e-shama jala hun dhuan sa bikhra hun main intizar ki har kaifiyat se guzra hun sab apne apne diyon ke asir pae gae main chand ban ke kai aanganon mein utra hun kuchh aur badh gai barish mein bebasi apni na baam se na kisi ki gali se guzra hun pukarti thi mujhe sahilon ki khamoshi main dub dub ke jo bar bar ubhra hun kyun itna mere khayalon mein bas gaya hai koi kabhi kisi ke tasawwur se main bhi guzra hun koi to aaj mujhe aankh bhar ke dekhega main aaj apne lahu mein naha ke nikhra hun