meri KHatir mein saqi kab tera paimana aata hai

meri khatir mein saqi kab tera paimana aata hai
ki yan har-dam khayal-e-nargis-e-mastana aata hai

thikane justuju-e-yar mein kis kis ke chhute hain
ki bulbul bagh mein aur bazm mein parwana aata hai

shab-e-furqat utha kar fitna-e-mahshar se kahti hai
mujhe zulf-e-daraaz-e-yar ka afsana aata hai

nikal kar aankh se ghaeb nahin hote hain ye aansu
isi pani se bharta umr ka paimana aata hai

ilahi log kyun ho ho ke khush firdaus jate hain
magar is bagh se aage koi virana aata hai

dil-e-zar aur shast-e-yar mein ek rah hai makhfi
khata ho kar bhi sidha nawak-e-jaanana aata hai

chala hun ghar se uth kar kabe ki jaanib magar mujh ko
taraddud hai ki raste mein mere mai-khana aata hai

mujhe gardish mein paya daur-e-charkh-e-barin kahe
ki mere sath chakkar mein mera kashana aata hai

ye raghbat hai use aghyar se jab sher kahta hai
to mazmun bhi khayal-e-yar mein begana aata hai

tere kuche mein ho jata hai kya insan par jadu
abhi hushiyar jata hai abhi diwana aata hai

gaya jo is kham-e-gesu mein wan ka ho raha 'salik'
ye hairat hai salamat kyun ki phir kar shana aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close