mili na fursat jahan ho ghash se uThi jo kuchh bhi naqab-e-ariz

mili na fursat jahan ho ghash se uthi jo kuchh bhi naqab-e-ariz
magar samajhte nahin abhi tak tum apna jalwa hijab-e-ariz

na dasht-e-aiman mein zikr us ka na tur hi par kabhi ye chamka
na ho nazar mein jo tera jalwa to mehr ko dun khitab-e-ariz

tasawwur un ka hai mujh ko har-dam na shab ko taskin na chain din ko
hoi hain auqat mere bilkul tabah kakul kharab-e-ariz

khushi ki kasrat agar ho un ko to ban ke aankhon mein aaen aansu
ziyaada yan tak hain apni had se na thahre aariz mein aab-e-ariz

ye rang-e-bazm-e-adu to dekho ki lakh parde kiye hain hail
naqab uthae wo go hain baithe magar hai ghairat hijab-e-ariz

ilahi meri jigar-fagari raqib sun kar unhen suna den
wo maslahat hi samajh ke aaen dikhane ko mahtab-e-ariz

nazar faza hai jahan hai jalwa tumhaara ehsan sab pe hoga
uthao aariz se tum jo parda to ghat na jaegi tab-e-ariz

ye nam jis ka qamar rakha hai mujhi se ek dagh le gaya hai
samajh to dekho samajh raha hai falak usi ko jawab-e-ariz

kahin ilahi shab-e-judai tamam hone ko aa gai hai
numud-e-subh-e-jaza ho shayad ki main ne dekha hai khwab-e-ariz

hui ye haal-e-zabun ki shohrat ki us ne khajlat se munh chhupaya
bana hai rang-e-shikasta mera bahut dinon mein naqab-e-ariz

na puchho hum se ki kya sabab hai siyah rozi ka apni 'salik'
chamak raha hai bahut dinon se adu pe wo aaftab-e-ariz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close