meri khushbu mere asrar tujh mein main shamil hun jamal-e-yar tujh mein masihai ko jis ki ishq aaya koi aisa pada bimar tujh mein ghubar-e-zat baithega koi dam giri hai aakhiri diwar tujh mein fusun-e-shab bhi hai qurban jis par sukhan aisa hua bedar tujh mein hawa-e-tund hai jalte diye hain azal se barsar-e-paikar tujh mein tujhe hai aarzu duniya ki lekin koi duniya se hai bezar tujh mein milan ke git gati hai azal se meri pazeb ki jhankar tujh mein main hun wo shabd jo madum hota agar pata nahin izhaar tujh mein izafi hain mujhe ye din-o-duniya mere donon jahan dildar tujh mein