wo shab-e-furqat mein bhi yun muskurae ja rahen hain

wo shab-e-furqat mein bhi yun muskurae ja rahen hain
hijr ke lamhe na kyon hum se guzare ja rahen hain

ai khuda mujh ko ijazat de ki us ko chhu sakun main
kab se aise chand ko khali nihaare ja rahen hain

aasman ke canwas par chand baqi tha banana
so tere chehre sa ek chehra banae ja rahen hain

nam likha phir se hum ne ek panne par tumhaara
ab wahi panna tumhin se hum chhupae ja rahen hain

ishq ki ye raushnai kam na ho jae ke dar se
hum charaghon ki jagah par dil jalae ja rahe hain

ek wo jo bhul se bhi phone karte hain na hum ko
aur pagal hum busy number milae ja rahe hain

soch lo aaram se inkar ka koi bahana
kaun sa hum chhod kar ye shahar bhage ja rahe hain

be-adab kah kar mujhe ruswa kiya tha yar jis ne
aaj wo har sher par tali ba-jae ja rahe hain

dard mein bhi ishq par sahab jo kahte tum ghazal ho
lag raha khud se hi khud ko aap mare ja rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close