meri koshish hai aaina bhi rahun aur takra ke tutta bhi rahun ek qafas mein khayal-o-bu ki tarah qaid bhi main rahun riha bhi rahun khud se kah lun main dastan apni dard mein kuchh to khush-nawa bhi rahun ho na jaun main be-hisi ka shikar tujh se milta rahun juda bhi rahun roz ki kashmakash ke shoalon mein aag bhi main rahun hawa bhi rahun shab ko 'bebak' kah raha hun ghazal taki main subh-ashna bhi rahun