nazar to aas ki ab ahal-e-asman pe hai dua ka tir abas ajr ki kaman pe hai zamin nasib kahan dur ke safar se use wo ek dhup ka tukda jo saeban pe hai jise jatan se rakha dil hi dil mein waqt-e-junun wo raaz shahr mein har ek ki zaban pe hai tamam shauq dhare ke dhare na rah jaen junun ke shahr mein aafat hamari jaan pe hai safar mein chain kahan daur-e-abla-pai jo haal uthan pe tha ab wahi dhalan pe hai shikar mein hain yahan ek dusre ke sabhi kabhi zamin pe kabhi aadmi machan pe hai koi to kat bata mujh ko tu mere mazi ki ab ke war teri aan ban shan pe hai wo shakh-e-zist pe 'bebak' lautta hi nahin parind dil ka jo ab arsh ki udan pe hai