meri koshish hai gham apna zamane se chhupa lun main

meri koshish hai gham apna zamane se chhupa lun main
kahin khalwat mein tanha baith kar aansu baha lun main

kisi jangal mein jakar sochta hun ghar bana lun main
ye duniya chhod dun aur ek nai duniya basa lun main

bani-adam se lagte hain bhale mujh ko pashu panchhi
bachi hai umr jo behtar hai sath un ke bita lun main

nahin manzur muhtaji mujhe hargiz zamane ki
chale gar bas mera mayyat bhi apni khud utha lun main

jo sine mein machalte hain magar lab tak nahin aae
qaza kuchh roz thahre to wo naghme bhi suna lun main

karun raazi dil-e-muztar ko kis tarkib se aakhir
koi bachcha nahin jis ko khilaunon se mana lun main

ye had hai be-hayai ki ki gulshan jal raha hai aur
mujhe ye fikr hai bas aashiyan apna bacha lun main

ye maya-jal jo main ne buna hai ird-gird apne
'sada' is jal se khud ko uff ab kaise nikalun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close