mere saqiya surahi mere hath mein thama de

mere saqiya surahi mere hath mein thama de
mujhe dar hai dagmaga ke kahin mai na tu gira de

mere hosh aaj saqi kisi taur tu uda de
hai khumar kam jo mai mein to nazar se bhi pila de

jo nikal ke but-kade se hain bhatak rahe haram mein
unhen mai-kade ka saqi zara rasta dikha de

na bada koi na chhota sabhi rind hain barabar
jo bada kahae khud ko use bazm se badha de

mujhe dekh kar tu saqi na zara bhi khauf karna
main nashe mein hun to hun par mere nek hain irade

badha shor ghantiyon ka hui hai azan unchi
ki bhatak na jaen maikash tu bhi zor se 'sada' de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close