meri mahfil mein agar chand sitare hote wo bhi qurban meri jaan tumhaare hote mujh ko sahraon se jaane ki ijazat hoti phir ye dariya na samundar na kinare hote wo to bas jhuti tasalli ko kaha tha tum se hum to apne bhi nahin, khak tumhaare hote un ke pichhe bhi koi gham ka samundar hoga warna aansu na kabhi aankh mein khaare hote tere wadon ko bhi bachchon ki tarah se rakhta mujh se hote to sabhi raj dulare hote tum nahin the to meri rah gai izzat 'akhtar' main to pad jata agar panw tumhaare hote baat sada thi magar der mein samjhe 'akhtar' dur kyun hote agar pas tumhaare hote