pine mein ehtiyat ziyaada nahin rahi phir mai-kade mein baat ziyaada nahin rahi arz-o-sama bhi hath se mere nikal gae mutthi mein kaenat ziyaada nahin rahi phir ye hua ki waqt kahin ja ke kho gaya din jab ghata to raat ziyaada nahin rahi main zindagi mein barha talwar par chala mushkil pae siraat ziyaada nahin rahi phir ye hua ki waqt ne manzar chhupa liye id-e-tasawwuraat ziyaada nahin rahi ki zindagi ki hum ne mudaraat umr-bhar us par bhi ek raat ziyaada nahin rahi mahsus ho raha hai tere haal-e-zar se 'akhtar' teri hayat ziyaada nahin rahi