meri manzilen zara dur thin mera rasta na thaka magar

meri manzilen zara dur thin mera rasta na thaka magar
badi sakht thi ye musafirat mera ham-safar tha bhala magar

meri be-rukhi ko ai bewafa na adawaton ka tu nam de
meri chahaton mein kami nahin mujhe tujh se kuchh hai gila magar

ye nawazishen mere yar ki isi zakhm-e-dil ke sabab se hain
yun ayaadaton ko to aaen sab mujhe de na koi dawa magar

meri raushni ko mita gaya wo jo jate jate bujha gaya
mera dil jala mera ghar jala wo charagh phir na jala magar

kabhi charkh us ko junun mile mere dil ko bhi to sukun mile
use aarzu-e-karam to ho mere lab pe ho na dua magar

mere ham-safar usi mod par tera hath hai mujhe chhodna
meri manzilen to wahin hai sab mera rasta hai juda magar

mere nam par jo hain tohmaten mere samne bhi laga kabhi
tere jhut ko bhi main sach kahun tu nazar nazar se mila magar

kabhi is tarah bhi mile the hum ki labon pe harf-e-gila na tha
use shayad ab ke na yaad ho kabhi us ne ki thi wafa magar

teri baat main ne ye man li main nahin hun tere khayal mein
mera zikr jis mein hua na ho mujhe wo ghazal to suna magar

mujhe koi tujh se gila na ho teri chiz hai tera ikhtiyar
use ghair ko tu zarur de mera nam dil se mita magar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close