un ka jaana to ek bahana tha maut ko yun bhi jald aana tha be-khudi mein use bata baithe raaz jo khud se bhi chhupana tha kyon na aate khushi khushi tair dam mein muft aab-o-dana tha dil tujhe kyon sukun nahin padta kya abhi aur kuchh lutana tha sakht ek marhala thi yaad teri aur us par tujhe bhulana tha talkh har baat sach nahin hoti un ka maqsad to dil dukhana tha aur bhi khwahishen thin duniya mein dil kahin aur lag hi jaana tha