meri mitti ka nasab be-sar-o-samani se kaam kuchh us ko hawa se na talab pani se mere atraf nigahon ki ye diwar na khinch aur aawara hua jata hun nigarani se apne aaine se tod aa ke mera aaina apne aaine ko bhar kar meri hairani se hum jo ek umr laga dete hain pas aane mein kaise lamhon mein bichhad jate hain aasani se hai yahi waqt ki patthar se khuda paida ho dekh ab nur tapakne laga peshani se ishq ko hai yahi ek surat-e-izhaar nasib jo bhi kahna hai kahe chaak-garebani se shahr ho jata hai pahle to junun-e-nakaam todta hai phir ise sang-e-bayabani se 'farhat-ehsas' usi jahl se kar phir se rujua tere haq mein yahi behtar hai hama-dani se