meri mohabbat ki be-khudi ko talash-e-haqq-e-jalal dena kabhi jo pabanda-e-sitam hun mujhe bhi azm-e-maqal dena mohabbaton ki ye shokhiyan hain ye e'timad-e-wafa hai mera bigad ke fihrist-e-ashiqan se kahin na mujh ko nikal dena rah-e-mohabbat ki sakhtiyon se jo rang-e-rukh tha jhulas chuka hai tumhaari ulfat pe mar rahe hain mera bhi chehra ujal dena tumhaara sab hum ko jaante hain to apni izzat ki laj rakh ke hamari hasti ke aaine ko koi hunar kuchh kamal dena tumhi to ho mir mai-kade ke tumhi ho saqi-e-tishna-kaami hum apna saghar liye khade hain zara si is mein bhi dhaal dena suni hain fayyaziyan tumhaari tumhaare maston mein hai ye shohrat hai mere saqi ka ye watira ki jam bhar kar ubaal dena pasand hain tum ko bhigi aankhen larazte lab aur udas chehre visal ka jab irada karna mujhe bhi rang-e-malal dena