meri nawa se hue zinda aarif o aami diya hai main ne unhen zauq-e-atish aashami haram ke pas koi aajmi hai zamzama-sanj ki tar tar hue jama hae ehrami haqiqat-e-abadi hai maqam-e-shabbiri badalte rahte hain andaz-e-kufi o shami mujhe ye dar hai muqamir hain pukhta-kar bahut na rang lae kahin tere hath ki khami ajab nahin ki musalman ko phir ata kar den shikwa-e-sanjar o faqr-e-juned o bastami qaba-e-ilm o hunar lutf-e-khas hai warna teri nigah mein thi meri na-khush andami