meri nazar mein khak tere aaine pe gard hai ye chand kitna zard hai ye raat kitni sard hai kabhi kabhi to yun laga ki hum sabhi machine hain tamam shahar mein na koi zan na koi mard hai khuda ki nazmon ki kitab sari kaenat hai ghazal ke sher ki tarah har ek fard fard hai hayat aaj bhi kaniz hai huzur-e-jabr mein jo zindagi ko jit le wo zindagi ka mard hai ise tabarruk-e-hayat kah ke palkon par rakhun agar mujhe yaqin ho ye raste ki gard hai wo jin ke zikr se ragon mein daudti thin bijliyan unhin ka hath hum ne chhu ke dekha kitna sard hai