meri nazar nazar mein hain manzar jale hue ubhrenge harf harf se paikar jale hue shoalon ka raqs aab-e-rawan tak pahunch gaya dariya pe bah ke aae hain chhappar jale hue har zarra is zamin ka lau de raha hai aaj kal aap ko milenge samundar jale hue mazlum-o-be-qusur jinhen kah rahe hain aap nikle hain un ke ghar se bhi khanjar jale hue aankhon ki is jalan se na mil paegi najat dekhe hain meri aankhon ne manzar jale hue darne lage hain aag se aatish-parast bhi dekhe hain jab se chaaron taraf sar jale hue be-khwab wahshaton ko sulane ke waste aarasta hain aaj bhi bistar jale hue