nazar aaya na koi bhi idhar dekha udhar dekha wahan pahunche to apne aap ko bhi be-nazar dekha ye dhoka tha nazar ka ya farishta sabz chadar mein kahin sahra mein lahraata hua us ne shajar dekha kahin pe jism aur pahchan donon rah mein chhode khud apne aap ko hum ne na apna ham-safar dekha bane kya aashiyan taza hawa na ped ke jhurmut kisi udte parinde ne nae yug ka nagar dekha lage the aaine chaaron taraf shayad mohabbat ke nazar ke samne tha bas wahi hum ne jidhar dekha zamin ki sej par sae ki chadar odh kar soya kisi banjare sailani ne raste mein hi ghar dekha kabhi hum dub jaenge isi mein sochte har dam hamare dil ne jab dekha hababon ka bhanwar dekha