meri nazron mein duniya thi magar andar thi tanhai sar-e-manzar tha hangama pas-e-manzar thi tanhai padhi thi mai-kadon ke shor ki har dastan hum ne magar us shor mein paiwast fitna-gar thi tanhai hawaen khush-gumani ki bulane aain thin lekin udasi panw jakde thi shikasta-par thi tanhai saji thi khana-e-dil ki har-ik diwar yaadon se bahut pur-soz se lahje mein naghma-gar thi tanhai khizan-alud shakhon par parinde bhi nahin aae isi be-saebani mein barahna sar thi tanhai mere atraf sab chehron pe khushiyan thin ta'alluq tha magar aankhon ki tah mein waswason se tar thi tanhai junun tha wahshaten thin aabla-pai thi hasrat thi 'hina' dasht-e-mohabbat mein bahut muztar thi tanhai