na ye zamin thi jab aasman kahin nahin tha faqat yaqin tha har-su guman kahin nahin tha lagi thi basti mein ghurbat ki aag bhi kaisi ki log jal bhi rahe the dhuan kahin nahin tha meri kitab mein meri hi zindagi thi magar mera hi nam sar-e-dastan kahin nahin tha musafiron ko wahan kaun puchhta ki jahan the mehman sabhi mezban kahin nahin tha shafaq mein bikhre hue the gham-e-hayat ke rang khushi ka rah-e-talab mein nishan kahin nahin tha bas ek dasht thi hadd-e-nigah tak duniya jo aarzu mein tha wo gulsitan kahin nahin tha lipat ke roya tha waqt-e-safar jo hum se 'hina' hum aae ghar to wahi mehrban kahin nahin tha