meri nigah ko ai kash ye hunar aae main aankh band karun aur wo nazar aae hamein na pyas ki shiddat na kuchh thakan ka gila ai zindagi tere sahra se hum guzar aae tumhaari talkh-kalami se ji udas hua jo bhar chuke the mere zakhm phir ubhar aae sahn mein baith ke hum phir hansi mazaq karen khuda kare kabhi mausam wo laut kar aae bhigo rahi thi kabhi jis ki yaad ki barish wo dhup ban ke mere sahn mein utar aae