meri nigahon pe jis ne sham o sahar ki ranaiyan likhi hain usi ne meri shabon ke haq mein ye karb-asaiyan likhi hain kahan hain wo aarzu ke chashme talab ke wo maujzan samundar nazar ne aandhe kuen banae hain fikr ne khaiyan likhi hain ye jism kya hai ye zawiyon ka tilism kya hai wo ism kya hai adhuri aagahiyon ne jism ki ye nisf golaiyan likhi hain kinae pairae istiare alamaten ramziye ishaare kiran se paikar ko zawiye de ke hum ne parchhaiyan likhi hain sukhan ka ye narm-sail dariya dhale to ek aabshaar bhi hai nasheb-e-dil tak utar ke padhna badi tawanaiyan likhi hain mere mah o sal ki kahani ki dusri qist is tarah hai junun ne ruswaiyan likhi thin khirad ne tanhaiyan likhi hain ye mere naghmon ki dil-rasi teri jhil aaankhon ki shaeri hai jamal ki sath di hai tu ne to main ne gahraiyan likhi hain