tumhaare chaak par ai kuza-gar lagta hai dar hum ko ajab pagal si ek parchhain aati hai nazar hum ko ye kaisi baat hai din ki ghadi hai aur andhera hai chamakti dhup mein sona pada hai raat-bhar hum ko hamein ghar se nikala tha to ye bhi soch lena tha ki sahab phir kabhi aana nahin hai laut kar hum ko abhi thoda sa shayad aur kuchh qissa chukana hai abhi kuchh aur thodi dur karna hai safar hum ko nahin malum kis chakkar mein ye haalat bana dali liye jata hai ek dariya-e-be-tabi kidhar hum ko