meri pahchan hai kya mera pata de mujh ko koi aaina agar hai to dikha de mujh ko tujh se milta hun to aksar ye khayal aata hai is bulandi se agar koi gira de mujh ko kab se patthar ki chattanon mein hun gumnam o asir dewtaon ki tarah koi jaga de mujh ko ek aaina sar-e-rah liye baitha hun jurm aisa hai ki har shakhs saza de mujh ko in andheron mein akela hi jalunga kab tak koi shai tu bhi to khurshid-numa de mujh ko