jalti rahna sham-e-hayat

jalti rahna sham-e-hayat
phir na milegi aisi raat

kah to gai wo nichi nigah
raaz hi rakhna raaz-e-hayat

hum kuchh samjhe wo kuchh aur
khamoshi mein badh gai baat

kis ko sunaen puchhe kaun
aah-e-nim-shabi ki baat

ruh ke munkir jism-parast
sahl nahin irfan-e-hayat

uf ye dast-e-talab aur hum
sab hai waqt pade ki baat

daman se ab munh na chhupa
ja bhi chuki ashkon ki baraat

jis ne na pai apni panah
kya dega auron ko najat

sher wahi hai jis mein 'siraj'
khud tadpe ruh-e-jazbaat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close