meri qismat ki wo ab hain mere gham-khwaron mein kal jo shamil the tere hashiya-bardaron mein zahr ijad karo aur ye paiham socho zindagi hai ki nahin dusre sayyaron mein kitne aansu hain ki palkon pe nahin aa sakte kitni khabren hain jo chhapti nahin akhbaron mein ab to dariya ki tabiat bhi hai girdab-pasand aur wo pahli si sakat bhi nahin patwaron mein aap ke qasr ki jaanib koi dekhe tauba jurm sabit ho to chun dijiye diwaron mein aaj tahzib ke tewar bhi hain caron jaise dafan ho jae na kal apne hi ambaron mein apni aawaz ko bhi kan taraste hain mere jins-e-guftar liye phirta hun bazaron mein tohmaten hazrat-e-insan pe na dhariye 'anwar' dushmani hai ki chali aati hai talwaron mein