meri raaton mein phir ek bar sitare chamke meri aankhon mein dil-awez nazare chamke phir fazaon mein machalta hua pata hun shabab phir bujhi aag mein do-chaar sharare chamke phir lab-e-baam chamakti hui aankhen dekhin phir gunahon ke hawas-kar ishaare chamke jin sitaron ki chamak ne mujhe tadpaya tha meri taqdir pe wo rashk ke mare chamke phir surahi ne iradon ko jawani bakhshi khushk saghar ke phir ek bar kinare chamke chand itna na chamakta kabhi dekha saqi mai-kade mein jo subu raat tumhaare chamke jin sitaron ki chamak mand padi thi 'mazhar' wo sitare meri aankhon ke sahaare chamke