meri rifat par jo hairan hai to hairani nahin tu abhi insan ki azmat ka irfani nahin aur ye kya hai zabt jo soz-e-pinhani nahin aag raushan dil mein hai chehre pe tabani nahin phul ke patte bikhar kar ek fasana kah gae jis ki ho tartib mumkin wo pareshani nahin mujh par ek ilzam hai qaid-e-qafas wo bhi ghalat jis ki niyat mein ho aazadi wo zindani nahin josh-e-girya us par aahon ki ye sailabi hawa kaun si hai mauj-e-ashk aisi jo tufani nahin raaz ye mujh par shikast-e-ghuncha-o-gul se khula husn bhi to be-niyaz-e-chaak-damani nahin khwahishon ke sath apne nafs ko bhi kar fana zindagi mein is se behtar koi qurbani nahin ittifaqat-e-mohabbat ne ye sabit kar diya wo bhi peshani mein hai shayad jo pesh aani nahin daulat-e-kaunain se bhi hai giran-tar ek sukun dil ho mustaghni to parwa-e-jahanbani nahin jawedani hun main ai duniya parastish kar meri ye musallam hai ki tu fani hai main fani nahin hauslon ke sath tai kar rah-e-dushwar-e-hayat hal to hongi mushkilen lekin ba-asani nahin dekh ai saqi qanaat ki tarab-afshaniyan aab-e-kausar hai katore mein mere pani nahin hai meri nazron mein anjam-e-bahaar-e-gulsitan ab mere sar mein hawa-e-gul badamani nahin bah chuka hai khun pani ki tarah insan ka mo'tadil phir bhi mizaj-e-alam-fani nahin kar na ai kunj-e-lahad zahmat mere aaram ki main mujahid hun mujhe khu-e-tan-asani nahin kar raha hun nazm ai 'simab' quran-e-majid aur ye kya hai agar taid-e-yazdani nahin