samne tere hun ghabraya hua be-zaban hone par sharmaya hua lakh ab manzar ho dhundlaya hua yaad hai mujh ko nazar aaya hua ye bhi kahna tha bata kar rasta main wahi hun tera bhatkaya hua main ki ek aaseb ek be-chain ruh be-wuzu hathon ka dafnaya hua aa gaya phir mashwara dene mujhe khema-e-dushman ka samjhaya hua phir wo manzil lutf kya deti mujhe main wahan pahuncha tha jhunjhlaya hua teri galiyon se guzar aasan nahin aaj bhi chalta hun ghabraya hua kuchh naya karne ka phir matlab hi kya jab tamashai hai uktaya hua kam se kam is ka to rakhta wo lihaz main hun ek aawaz par aaya hua mujh ko aasani se pa sakta hai kaun main hun tere dar ka thukraya hua