meri ruh tan se juda ho gai kisi ne na jaana ki kya ho gai bahut dukhtar-e-raz thi rangin-mizaj nazar milte hi aashna ho gai mariz-e-mohabbat tera mar gaya khuda ki taraf se dawa ho gai buton ko mohabbat na hoti meri khuda ka karam ho gaya ho gai ishaara kiya baithne ka mujhe 'inayat ki aaj intiha ho gai ye thi qimat-e-rizq tute jo dant gharaz kaudi-kaudi ada ho gai dawa kya ki waqt-e-du’a bhi nahin teri haalat 'akbar' ye kya ho gai