mesmerism ke 'amal mein dahr ab mashghul hai maghrib-o-mashriq mein ek ‘amil hai ek ma’mul hai jism-o-jaan kaise ki ‘aqlon mein taghayyur ho chala tha jo makruh ab pasandida hai aur maqbul hai matla'-e-anwar-e-mashriq se hai khilqat be-khabar mustanad partaw wo hai maghrib se jo manqul hai gulshan-e-millat mein pamali sar-afraazi hai ab jo khizan-dida hai barg apni nazar mein phul hai koi markaz hi nahin paida ho phir kyunkar muhit jhol hai pechidgi hai abtari hai bhul hai