meri sahba-parasti morid-e-ilzam hai saqi khirad walon ki mahfil mein junun badnam hai saqi junun mein aur khirad mein dar-haqiqat farq itna hai wo zer-e-dar hai saqi aur ye zer-e-dam hai saqi su-e-manzil badhe jata hun mai-khana ba mai-khana mazaq-e-justuju tishna-labi ka nam hai saqi kabhi jo chaar qatre bhi saliqe se na pi pae wo rind-e-kham hai saqi wo nang-e-jam hai saqi nahin hai aaj bhi shaista-e-adab-e-mai-noshi wo ek rind-e-bala-kash jis ka 'taban' nam hai saqi