wo har har qadam par sambhalte hue dilon ko masalte hain chalte hue na arman ko dekha nikalte hue na nakhl-e-tamanna ko phalte hue wo kis tarah qabu mein aaen mere qayamat ke putle hain chalte hue rahi ek andaz par chashm-e-yar zamane ko dekha badalte hue wo kuchh rang laenge roz-e-visal hina un ko dekha hai malte hue dam-e-naza yarab main dekhun unhen wo dekhen mera dam nikalte hue unhen ghair se jab na fursat mili chale aae hum hath malte hue main jaanun ki nale mein hai kuchh asar jo dil un ka dekhun pighalte hue wo nikle udhar se to ai 'barq' yun mera dil kaf-e-pa se malte hue