meri sans ab chaara-gar tutti hai kahin judti hai phir kahin tutti hai ye khu hai tumhaari to kyun-kar banegi udhar banti hai to idhar tutti hai na hum par hanso haal hota hai ye hi musibat jo insan par tutti hai samajhta hun kuchh main bhi baaten tumhaari ye har tan kya ghair par tutti hai khuda ke liye phir to aisa na kahna meri aas ai nama-bar tutti hai yahan jis ke be-dekhe ji tutta hai wahan us ki har-dam nazar tutti hai ghazab hatha-pai ka hai lutf hota koi un ki chudi agar tutti hai adu ka bhi to ghar hai ai charkh zalim jo aafat hai mere hi ghar tutti hai teri baat ka kya hai unwan qasid tawaqqoa hamari magar tutti hai ye gham hai to rona bhi apna yahi hai ye rona hai to chashm-e-tar tutti hai ye kahna 'nizam' ab to sone de mujh ko koi baithe kab tak kamar tutti hai