wada jo tha nibah ka tum ne wafa nahin kiya hum ne to aaj tak tumhein dil se juda nahin kiya hum hi wo kam-nasib the mange mili na maut bhi aap ka kya qusur hai aap ne kya nahin kiya mom hue pighal gae sang bane chatakh gae phir bhi zaban se aaj tak hum ne gila nahin kiya dasht-e-talab mein har sada gunj bani bikhar gai kis ko sulagti ret ne aabla-pa nahin kiya wo to ye kahiye sakht-jaan hum the ki war sah gae tum ne wagarna ek bhi tir khata nahin kiya aaj wafa ka wasta deta hai wo sitam-zarif jis ne ghurur-e-husn mein khauf-e-khuda nahin kiya waise to sab ba-zom-e-khwesh sachche hain len-den ke mitti ka jis pe qarz tha us ne ada nahin kiya