meri sham-e-anjuman mein gul hai gul mein khak hai dagh sine ke chaman mein gul hai gul mein khak hai dagh-e-dil ko khaksaron ke lagaya tu ne munh ghuncha-e-tang-e-dahan mein gul hai gul mein khak hai baad har din dagh hai teri kudurat ka mujhe sahn-e-daman-e-kafan mein gul hai gul mein khak hai ya mukaddar ho ke duba hai mera dil ai pari ya teri chah-e-zaqan mein gul hai gul mein khak hai gard-e-ghurbat se bhari hai mere maskan ki bahaar daman-e-subh-e-watan mein gul hai gul mein khak hai daghdaron ne kudurat se buna un ka palang sumbul-e-mauj-e-rasan mein gul hai gul mein khak hai wahshi-e-gesu ne dagha hath udae gard-e-gham shakh-e-ahu-e-khutan mein gul hai gul mein khak hai dagh chhalle ka sarape mein kudurat-za hua gul-rukhon nakhl-e-badan mein gul hai gul mein khak hai ban gaya hai shisha-e-saat magar fanus-e-shama aks shoale ka lagan mein gul hai gul mein khak hai sagaron ki phul pine se hui mitti kharab jam-e-mai bagh-e-sukhan mein gul hai gul mein khak hai gard-e-zulmat dali lale par khizan ne ai falak chand ke badle gahan mein gul hai gul mein khak hai baalon mein chhup kar kiran phul un ka mitti ho gaya afai-e-gesu ke phan mein gul hai gul mein khak hai dagh de kar malte hain ye shama-ru mitti ka itr rakht-e-ahl-e-anjuman mein gul hai gul mein khak hai unsur-e-khaki hua barbaad ahl-e-dagh ka in dinon wahshat ke ban mein gul hai gul mein khak hai zakhm-e-sar par dalta hun un buton ki gard-e-rah ab kulah-e-barahman mein gul hai gul mein khak hai phul pi pi kar mukaddar ho raha hai wo sabih dekh lo nakhl-e-saman mein gul hai gul mein khak hai hai mukaddar nur-e-mehr us rashk-e-gul ke hijr mein gulshan-e-charkh-e-kuhan mein gul hai gul mein khak hai mere dil mein dagh hai har dagh mein hai gard-e-gham andalibo is chaman mein gul hai gul mein khak hai parde mein hai phul sa munh aur munh pe gard-e-khat is sahar ke pairahan mein gul hai gul mein khak hai mathe par hai dagh-e-sajda dagh mein gard-e-sujud khatt-e-qismat ki shikan mein gul hai gul mein khak hai gard-e-kulfat lae hai fasl-e-bahaari apne sath shakh-e-har-nakhl-e-chaman mein gul hai gul mein khak hai kya kahun is misra-e-farmaishi mein ai 'munir' hai hiran gul mein hiran mein gul hai gul mein khak hai