meri soch mujhe kis rutbe par le aai daira-e-hasti ek nuqte par le aai jab duniya ko main ne kor-e-nazar thahraya meri aankhen apne chehre par le aai main to ek sidhi pagdandi par nikla tha pagdandi mujh ko chaurahe par le aai yun mahsus hua apni gahrai mein ja kar jaise koi mauj kinare par le aai sahra mein bhi diwaren si phand raha hun binai kis andhe raste par le aai main ne noch ke phenkin jo shiknen chadar se wo sab shiknen duniya mathe par le aai kahkashan ke khwab 'muzaffar' dekh raha tha aur bedari ret ke tile par le aai