yahin tha baitha hua darmiyan kahan gaya main ki mil raha nahin apna nishan kahan gaya main na kar raha hai fulan ko fulan khabar meri na puchhta hai fulan se fulan kahan gaya main nishan milta hai hazir mein kab guzishta ka bata sakenge na aaindagan kahan gaya main saje hue hain piyaada o asp o fil tamam bichhi hui hai bisat-e-jahan kahan gaya main main kab nahin tha akarat magar raha hazir hua hun ab ke ajab raegan kahan gaya main jise yaqin tha har sud mein khasare ka tha apne-ap mein sharh-e-ziyan kahan gaya main agar tha pahle hi nam-o-nishan mera mafqud to ho ke bar-e-digar be-nishan kahan gaya main na bhejta hai koi nama-e-firaq mujhe na dhundhta hai pata khat-rasan kahan gaya main jo kar raha tha guzishta ke waqiat durust suna raha tha ulat dastan kahan gaya main liya gaya hun hirasat mein be-amani ki ki be-aman tha shahr-e-aman kahan gaya main utha ke le gaya darogha-e-fana shayad khula hua hai dar-e-khak-dan kahan gaya main bujhi nahin mere aatish-kade ki aag abhi utha nahin hai badan se dhuan kahan gaya main nahin hua hun magar is tarah kabhi ghaeb raha hamesha nihan dar-ayan kahan gaya main