meri subh-e-gham bala se kabhi sham tak na pahunche mujhe dar ye hai burai tere nam tak na pahunche mere pas kya wo aate mera dard kya mitate mera haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunche ho kisi ka mujh pe ehsan ye nahin pasand mujh ko teri subh ki tajalli meri sham tak na pahunche teri be-rukhi pe zalim mera ji ye chahta hai ki wafa ka mere lab par kabhi nam tak na pahunche main fughan-e-be-asar ka kabhi mo'tarif nahin hun wo sada hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunche wo sanam bigad ke mujh se mera kya bigad lega kabhi raaz khol dun main to salam tak na pahunche mujhe lazzat-e-asiri ka sabaq padha rahe hain jo nikal ke aashiyan se kabhi dam tak na pahunche unhen mehrban samajh len mujhe kya gharaz padi hai wo karam ka hath hi kya jo awam tak na pahunche hue faiz-e-mai-kada se sabhi faizyab lekin jo gharib tishna-lab the wahi jam tak na pahunche jise main ne jagmagaya usi anjuman mein saqi mera zikr tak na aae mera nam tak na pahunche tumhein yaad hi na aaun ye hai aur baat warna main nahin hun dur itna ki salam tak na pahunche