sham guzri hai abhi gham ki sahar baqi hai ek safar khatm hua ek safar baqi hai kis tarah ghar mein kahun apne shikasta-ghar ko koi diwar salamat hai na dar baqi hai zard aata hai nazar khauf-e-khizan se wo bhi ek patta jo sar-e-shakh-e-shajar baqi hai ab jalaen bhi dobara to wo shayad na jalen jin charaghon pe hawaon ka asar baqi hai kyun rahe tishna-e-khun wo bhi hamare hote tere tarkash mein koi tir agar baqi hai khatm hote hi main aati nahin rah-e-manzil umr-bhar chalte rahe phir bhi safar baqi hai dasht ki khak hua jism to kab ka 'khawar' shahr mein ab bhi mera nam magar baqi hai