meri subh-e-khwab ke shahr par yahi ek jawaz hai jabr ka ki mere wajud ke bagh mein abhi koi phul hai sabr ka kisi baadban ki ot mein kahin aasman ke samne ye ziya hai mishal-e-khwab ki ki koi charagh hai abr ka kisi subh khwahish-e-marg se bhi numud pati hai zindagi kisi sham apne wajud par bhi guman hota hai qabr ka meri sham-e-nur ke us taraf meri khak-e-sabz ke is taraf ye nai zamin hai jabr ki ye naya gulab hai sabr ka mere aaine se juda hua jo charagh-e-hijr to ye khula chaman-e-sitara-o-rang mein bhi kahin qayam hai abr ka